MicroSD Card bahut compact device hai jo aaj ke modern time me bahut useful hota hai. Isme kuch space hote hai jisme data store kiya jata hai, kuch data bahut private hote hai jiski wajah se log memory card me password laga kar rakhte hai. Aaj mai apko Memory Card me Password tode ka tarika batunga.
Ye padhe: Android Phone Ka Call Computer Par Receive Kaise Kare
Micro SD card Unlock karne ke liye 3 tarike hai mere paas, in sabhi tarike se password khol sakte hai. Lekin apka storage data safe rahne ka chances bahut kam hai, kyunki iss process format karna parta hai.
Contents
Memory Card Ka Password Kaise Unlock Karte Hai
Computer Ki help se
Isme computer ki jarurat hai. Yadi aapne Android Devices se Memory Card me password lagaya hai to steps follow kare.
- Mobile me Es-Plorer download kare.
- EXPlorer open kare aur System Folder me jaye. (C:/System)
- Ab yaha apko mmcstore name ka file dhundna parega.
- File milne ke baad isko rename kare, rename karte time iska new name mmcstore.txt rakhe.
- File ko copy karke apne PC me transfer karna hai.
- PC me file ko notepad se open kare, iske baad memory card ka password dikhayi dene lagega.
PC Ke Bina Memory Card Unlock Kaise Kare
Agar aapke paas koi E-series phone aur N95 hai to iss steps ko follow karna hai.
- Memory card ko E series aur Nseries ke phone me lagaye.
- SD Card ko format karde.
- Format hone ke baad ye password nahi mangega.
Unlock Memory Card
- Yaha apko apne memory card ko ek reader me lagana hai.
- Phir iske baad Card reader ko card ke sath computer me insert kare.
- Phir se Micro SD card ke option par mouse ka right button press karna hai.
- Ab apko Format ka option dikhayi dega, iss option par jaane se memory card format ho jata hai jiske baad iska password bhi laga hua nahi rahega.
Note: Format hone ke baad memory card me koi data store nahi rahega.
Ess tarah se kisi SD card me password laga hua to usko unlock kiya ja sakta hai.
Ye bhi padhe:
- Windows 10 Free Download Kaise Karte Hai
- Android Oreo 8.0 Ko Mobile Me Kaise Install Kare Ki Jankari
- Mobile Me IMEI Number Thik Kaise Kare
bahut hi helpfully post share kiya brother aapne.